CCTV Networking Easy Language Me – Hindi PDF Book
By TechLogicIndia
Free
By TechLogicIndia
Free
Camera offline hai, cable theek hai, phir bhi NVR camera nahi dhoondh pa raha? Mobile pe video nahi aa raha? Raat ko camera restart ho jaata hai?
Zyadatar CCTV problem ki asli wajah networking hoti hai. Ye book usi networking ko aasaan Hindi aur pictures ke saath samjhati hai, zero se advanced level tak.
Is book me aap kya seekhoge:
✓ Network, switch aur router: kaun kya kaam karta hai
✓ IP address, subnet mask aur gateway khud set karna
✓ Cable, RJ45 colour order (T568B) aur 100 metre ki limit
✓ PoE kaise kaam karta hai, aur PoE budget ka hisaab
✓ Mobile pe camera kyun nahi aata: gateway, DNS, P2P check
✓ Bandwidth calculation, picture aur diagram ke saath
✓ Managed vs unmanaged switch, aur VLAN kya hai
✓ 100 camera wali site ka poora network plan
✓ Ping se problem dhoondhna, aur CCTV network security
Book me kya milega:
• 51 page ki PDF, 14 chapter, 3 level (Basic, Middle, Advanced)
• Har concept real device images aur diagram ke saath
• Har chapter me site ka example aur "Yaad rakho" summary box
Kiske liye hai:
CCTV technicians, installers, ELV / site supervisors, aur jo CCTV ka kaam start karna chahte hain. Pehle se kuch aana zaroori nahi.
Payment ke baad PDF turant download ke liye mil jayegi.
English version chahiye? Wo alag page pe hai.
Course by Sandeep Pandey · TechLogic India